Welcome to you our website

Tuesday 20 December 2016

1 Mahine Ke Andar Gas Prapt Karen

Hello Doston! Namaskar!
Main Hrishikesh Saraswat  Aap Sab ke Bich Gharelu Samasyaon Ko lekar ek Aap Sab ke Bich Post kar raha Hun..

Aajkal gas lagbhag 2 mahinon ya usase adhik din par milta hai, jisase hame adhik kathinaiyon ka saamna karna padta hai, kabhi to hamlogon ko black se bhi gas kharidana par jata hai. Isi samasya ko lekar aaj ka post aap sab ke bich hai.

Aaj ke article men ham batayenge


  • Kaise 1 mahine ke andar gas prapt karenge?
  • Online Payment kaise karenge step-by-step?
Aap 1 Mahine ke andar gas online payment kar prapt kar sakte hai. Sabse Pahle aapko gas ki booking karni hogi. usake bad aapko BHARAT GAS ki official website par jana hoga.

Step-1:- Quick Book & Pay par click kare.


bharat gas

Step-2:- Iske Bad Aap 

  1. 17 ankon ka LPG ID ya Registered Mobile No. Enter kare 
  2. Uske baad display Captcha Enter karen
  3.  Continue par click karen


Bharat Gas

Step-3:- Ab aapke samne ek page khulega jismen Gas Holder ka name aur address diya rahega fir continue par click karen.


Bharat Gas
Step-4: Apani Booking ID ko select kare aur Continue par click karen.
Bharat Gas

Step-5: Terms & Conditions padh kar Make Payment par click karen.
Step-6: Iske baad aapke ke samne payment karne ke liye payment gateway ka page khulega. Pay par click karen.
Step-7; Ab payment karne ke liye ek page khulega jahan aap 3 tarikon se payment kar sakte hai. Credit card, Debit Card aur Netbanking
1.Payment Method Chune 

yahan par main aapko Debit card se payment karne ke bare men bataunga.
2. Debit Card ka Categorey chune jaise Master Card, Rupay, Visa Card etc.
3. 16 ankon ka card no. Enter karen
4. Expir date enter karen
5. Card ke pichhe ka 3 ankon ka CVV no. enter karen
6. Make payment par click karen.
7. Aapko ek Banking OTP prapt hoga use enter kare aur Submit par click karen.

Gas Aapke Ghar Par Pahunch Jayega, Aapko kisi line mein lagne ki jarurat nahin hai. Dhyan rahe online payment Booking Date ke 14 dinon ke andar karen.

Hamare Blog par aane ke liye bahut bahut dhanyawad doston! Apna sawal aap comment box mein puchh sakte hai.

No comments:

Post a Comment